Aansu jo beh rahey hein

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to ke h dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do

Re: Aansu jo beh rahey hein

This is also nice bheegiyaad :k: Thanx for sharing :slight_smile:

Re: Aansu jo beh rahey hein

Aik tu na mila sari duniya mile bhi toh kya hai
Mera dil na khila sari bagiya khile bhi toh kya hai!!!

Re: Aansu jo beh rahey hein

nice sharing