Janwar
1
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham ROHAIL~
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do
JonyBr
2
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Miyaan sahab aap tu chupay rustam niklay :D…zabardast :k:

Janwar
3
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
chup chup kay zamanay mai ajj tak hum rahay
nah raha tu wajood-e-qalam nah rahaa
shukreyah :)
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
wow,,,very nice
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Kiya khoob kaha hai.
reet
6
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
very nice…:k:
Janwar
7
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Sumjho tu sab kuch hai
nah sumjho tu kuch bhi nahi
Adab .
sokoon
8
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Hi!
Janwar,
Wah wah bouhat khoub. wah wah
Koyal
9
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
nice one janwar wesay janwroon k anu koi nahi saaf karta :p
Janwar
10
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
^^
Ansu ke baat kartay ho hum dil kay kia kia zakham deekhaie .
Janwar hum ko kahti hai saari duniya hum jahan ko gulshan-banaie
Lamhay
11
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
wah Janwar Jee …Janwar aur shayari :rotato:
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do

O yar.. tum ko Samajh kiuN naheeN ati hummm 
Apni Poem … INTIKHAB maiN ThooK detay ho… And… DoosrooN ki Shora-e-Gs pe… 
Bhai Jaan… Issay Tou Frame Kar ke… Shora-e-GS pe laTkana tha 
Wesay… Very Nice Poem… Buhut Khoob.. 
chodhry
13
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
A Gazhal by Tamkeen shah
http://poetrypk.com/modules.php?name=News&file=print&sid=109524
Now I dont have any respect for you what so ever Mr. Janwar. happy posting :mad:
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Tnx Choudhry… 
JANWAR… SUDHAR JAOOOO 
Re: aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Boht achay :k: