*Chain aaya zindagi ko inqalabaatoon ke baad
Ab na wehshat na junoon un ki inayatoon ke baad
Qias aur farhaad ke qissay tu paa-reena huwa
Ab muhabbat ka nishan hum hain rewayatoon ke baad
Allah Allah jazb-e-ulfat ka karishma dekheyey
Gham mein lazzat aagaee un se mulaqatoon ke baad
Maikaday mein maikashi se rok na waai'z mujhe
Aur meri pyaas barhti hai teri baatoon ke baad
Is tamanna per keye hain zindagi bhar rat-jagay
Wasl hoga un ka haasil hijar ki raatoon ke baad
Kaat kar shakhoon ko islah kar raha hai baagh'baan
Kaun si taameer hogi in kharabaatoon ke baad
Ay dost aanso'oun se dagh-e-dil kab dhul sakay
Chand mein hai dagh ab bhi kitni barsatoon ke baad...*
bahut khoob ! thanks 4 sharing ab!
Chain aaya zindagi ko inqalabaatoon ke baad....>>>>>
shukar hai ap ko chain tu aya ;)
Good1.....once again!
very nice :k::k:
TajMahal chain ... oh ji haan chain tu aaya thaa aaj do ghari ke leye magar phir ...:(
*Swera and ** Vivacious *** ** thanks a lot :)