Aansoo...

Neend ko aankhon mein aana tha keh aansoo aa gaye
meet ko sapno mein laana tha,keh aansoo aa gaye

Kookti thi sab sey koyel ek meethi taan mein
Saath usskey gun-gunaata tha keh aansoo aa gaye

Ratt raha tha ek papeeha “piyu piyu” deir sey
“Pee” kahan ussko batana tha keh aansoo aa gaye

Tak raha tha kab sey Chatak aas sey akaash ko
Barish ki boondon ko aana tha keh aansoo aa gaye

Baad muddat ke miley, lekin miley kuch istarha
Saath milkar muskurana tha keh aansoo aa gaye!

bahut khoob!

Baad muddat ke miley, lekin miley kuch istarha
Saath milkar muskurana tha keh aansoo aa gaye!

Wah… Nice :flower1:

Bohat shukriya, Lamhay & GS :)

:flower1: nice:flower1:

Baad muddat ke miley, lekin miley kuch istarha
Saath milkar muskurana tha keh aansoo aa gaye!

:k:

Thanx Dynamic fire & m kamal.. :)

Baad muddat ke miley, lekin miley kuch istarha
Saath milkar muskurana tha keh aansoo aa gaye!

so beautifull…:k::k:

Shukriya reet..:)

Main tanha damm torh chuka hota
Main jee raha hoon keh mera aasraa tum ho