Yaad tumhaari jab jab aaye beetay dinoon ki yaad dilaaye
Laakh bhulaana chaahoon tujh ko dil deewana bhool na paaye
Phool hi phool thay kal raahoon mein
Qadam qadam pe aaj hain kaantay
Tum bichray tu kaun hai ab jo
Dard yeh mere dil ka baantay
Do din pyar yeh khwaab dikha ke, saari umer kyon dil khoo jaaye
Laakh bhulaana chaahoon tujh ko dil deewana bhool na paaye
Teri talaash mein dar dar bhatkay
Gali gali aawaaz lagaaaee
Kahan kahaan na dhoonda tujh ko
Surat teri nazar na aeee
Awazain dain kyon dil us ko, wakt kabhi jo laut na aaye
Laakh bhulaana chaahoon tujh ko dil deewana bhool na paaye
Yeh anhooni kyon hojaaye
Jaagi kismat kyon so jaaye
Sab kuch mil kar ek pal mein kyon
Ek pal mein sab kuch khoo jaaye
Aansoo pee kar kab tak koi pyaase dil ki pyaas bhujaaye