Dil ke deyaar-e-shauq mein jalta huwa diya
Lau us ki khwahishaat ki maddham na kar sakay
Sazeena-e-hayyaat ko chaira tu baar baar
Sur mein kisi bhi saans ki sargam na kar sakay
Zakhmoon ko mere gau bahut hamdardeyaan mileen
Alfaz mere dard ka marham na kar sakay
Rasmoon ne daaleen paaon mein zanjeer is tarah
Kuch tum na kar sakay … kuch hum na kar sakay
Aansoo deye kisi ne … kisi se milay faraib
Hum dastarass mein wasl ke mausam na kar sakay …***