Aansoo bhi teri yaad ke kitnay qareeb thay

ashq chupke se bigho den ge tumhara daman
jab tumhain meri wafaon ka khayal aae ga


toote khayal khoi sadaien aur jale huroof
itna hujoom phir bhi yeh khali makan kuin hai


toot jaen ge to kiya chewn ke siwa kiya den ge
kanch ke pair khayalon mein lagaya na karein


tumhari yaad se wabasta ho gaya akhir
woh ik khayal jo aata nahi bulane se


yaadon ke khayalon mein naya phool khila hai
tughe jaisa koi aa ke khayalon mein basa hai


**aaya hi tha khayal ke ansoo nikal pare
**ansoo bhi teri yaad ke kitne kareeb thay

Re: Aansoo bhi teri yaad ke kitnay qareeb thay

Nice one.. Tnx Dania :flower1:

Re: Aansoo bhi teri yaad ke kitnay qareeb thay

i really like the last third ones thx dania :)

Re: Aansoo bhi teri yaad ke kitnay qareeb thay

aaya hi tha khayal ke ansoo nikal pare
ansoo bhi teri yaad ke kitne kareeb thay

bahot khoob......Dania....thnx for sharing