**Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
Gham Ban Gaya Naseeb Maira Har Khushi Ke Baad
Nikla Tha Kaarwaan Mohabbat Ki Raah Mein
Har Morr Pay Nafrat Kharri Thi Har Gali Ke Baad
Socha Tha Pyar Ka Main Sajaoon Ga Gulsitaan
Har Phool Jal Gaya Maira Ban Kar Kali Ke Baad
Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar
Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi Dil Lagi Ke Baad
Abb Raakh He Samait-ta Hoon Aashiyaney Ki
Khud Hi Jala Diya Tha Jaisey Aajazi Ke Baad
Suntey Hain Baad Marney Ke Milta Hai Sab Sila
Daikhein Gey Kya Miley Ga Humein Zindagi Ke Baad**
LP
2
Re: Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
very nice poetry enter10:lajawab:
**Gham Ban Gaya Naseeb Maira Har Khushi Ke Baad
**Even though I shouldnt but I strongly believe in these lines now…
Re: Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
Bohat Khoob Enter..
Re: Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
Nice 1 .............
Re: Aansoo Bhar Aaye Aankh Mein Har Ikk Hansi Ke Baad
**Chahat Ki Be-basi Ka Ye Qissa Hai Mukhtasar
Dil Ne Sakoon Na Paaya Kabhi Dil Lagi Ke Baad
:(
waise dil lagane ke bad sukoon ki talab.. kia ye khulla tazad nahin.
**