qutra qutra behne laga gum judae ka bun ker aanso
sajan aaya naan,aagae yaad ouski bun ker khoushbo
pichley wasaal per dey gaya sajan tuhfa faraq ka
phir bhi kerta hai dil-e-nadan milan ki justajoo
pehlay bhi yehi thee dil mein aab bhi yehi hai
dedaar kay baad phir hougae teray dedaar ki aarzo
ehsaan buhat hain tumharey,itna sa karam our kerdo
maan loo zindagi hamari,hou jaien hum bhi surkharo