*
**AanNkh se door na ho dil se utar jaayegaa
Waqt kaa keyaa hai guzartaa hai guzar jaayegaa
Itnaa maanoos na ho kHilwat-e-gHam se apni
Tu kabhi kHud ko bhi dekhegaa to Dar jaayegaa
Tum Sar-e-Raah-e-Wafaa dekhte rah jaaoge
Aur wo Baam-e-Rafaaqat se utar jaayegaa
Zindagi teri Ataa hai to ye jaane waalaa
Teri bakHshish teri dehleez pe dhar jaayegaa
Doobte Doobte kashti to ocHaalaa de dooN
maiN nahiN koi to saahil pe utar jaayegaa
Zabt laazim hai magar dukh hai Qayaamat kaa ‘Faraz’
Zaalim ab ke bhi na royegaa to mar jaayegaa **
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
[This message has been edited by Tassneef (edited July 14, 2002).]
very nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï
thanx chaand
but please tell me if you can also hear it?
bcs maiN try kar raha tah suNne ki magar wo link kaam nahi akr raha ? keya aap ke bhi kaam nahi kyia? koi error aiya?
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
Buhat Khoob.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
Owner of Mehkama-e-Sharafat
ô¿ô
.~.
Rude Boyz Rulez
Sirf pehla sher samajh aya, really good
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
luv is not blind-it sees more and not less,but coz it sees more its willing 2 see less!!!
[quote]
Originally posted by Tassneef:
*
**
Zindagi teri Ataa hai to ye jaane waalaa
Teri bakHshish teri dehleez pe dhar jaayegaa
Doobte Doobte kashti to ocHaalaa de dooN
maiN nahiN koi to saahil pe utar jaayegaa
Zabt laazim hai magar dukh hai Qayaamat kaa 'Faraz'
Zaalim ab ke bhi na royegaa to mar jaayegaa **
[/quote]
buhat khoob Tasneef jee...