Aankhoon ka Rang Baat Ka Lahja Badal GAya"

Aankhoon ka Rang Baat Ka Lahja Badal GAya"

aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh

phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay

to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari

us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi

jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal

wo be niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan

parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay

baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani

ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh

manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi

tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka

jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee

us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye

woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log

amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya…

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log

amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya…

:flower1:

:k:

:)

nice je

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha wo manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya :k:

khoob :k:

Thanks all aap sub ko passand aya bohat achi baat hai jee phir aik barr bohat bohat shukria jee :)