Sohaib
1
This ghazal has been sung by ‘Alka’ and penned by Javed Akhtar.. Very simple yet efffective lyrics… :k: Thought shuold share it.
**Aankhon mai le ke pyaar bharay jaam aa gayee
thaa jiss ka intezaar wohi shaam aa gayee
Aanay na dete thhay kabhi hum dil mai aarzoo
per kya kerain ke le ke tera naam, aa gayee :k:
Khud apnay aap se bhi jo mainay chupaai thi
woh baat jaanay kaisay sar-e-aam aa gayee
Tanha thi raat, sooni fiza, dil udaas thaa
aisay mai teri yaad baray kaam aa gayee :k:
Aankhon mai le ke pyaar bharay jaam aa gayee
thaa jiss ka intezaar wohi shaam aa gayee**
Re: Aankhon main leke— a sweet ghazal
the whole ghazal is beautiful:k::k: