Aankhon Main Bas Ke

aankhon mein bas ke dil mein samaa kar chale gaye
Khavabeda zindagii thii jagaa kar chale gaye

chehare tak aastiin vo laakar chale gaye
kyaa raaz thaa ki jis ko chupaakar chale gaye

rag rag mein is tarah vo samaa kar chale gaye
jaise mujh he ko mujh-se churaakar chale gaye

aaye thay dil kii pyaas bujhaane ke vaaste
ik aag sii vo aur lagaa kar chale gaye

lab thar-tharaa ke rah gaye lekin vo aiy “Ahsen”
jaate huye nigaah milaakar chale gaye