Aankhon ka tha qasoor na dil ka qasoor tha
aaya jo mere saamne mera garoor tha
tareek misl-e-aah jo aankhon ka noor tha
kya subh se he shaam-e-bala ka zahoor tha
wo thay na mujh se duur na mein unn se duur tha
aata na tha nazar tu nazar ka qasoor tha
koee tu dard-mund dil-e-na suboor tha
maana ke tum na thay koee tum sa zaroor tha
aesaa kahan bahaar mein rangeeniyon ka josh
shaamil kisi ka khoon-e-tamanna zaroor tha
palti jo raaste he se ay aah-e-namuraad
ye tu bataa ke baab-e-asar kitni door tha
jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya
uss dil mein ek chupa hua nashtar zaroor tha
dekha tha kal Jigar ko sar-e-raah-e-maekada
iss darja pee gaya tha ke nashe mein choor tha
By: Jigar Muradabadi