Ankhon ka rung baat ka lehja badal gaya
wo shakhs aik sham main kitna badal gaya!
kuch din tu mera aks raha aainay pe naqsh
phir yon hoa kay,khud mera chehra badal gaya
jab apnay apnay haal pe hum tum na rah sakay
tu kiya hoa jo humse zamana badal gaya
qadmon talay jo rait bichi thi,wo chal pari
us ne churaya haath tu sehra badal gaya
**koi bhi cheez apni jaga per nahi rahi **
jaatay hi aik shakhs kay kiya kia badal gaya
**ek sarkhushi ki mooj ne kaisa kiya kamal **
**wo be niyaz ,saray ka sara badal gaya **
uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiyan
pardha utha tu ,sara tamasha badal gaya
heyrat se saraay lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisa badal gaya
**kehnay ko aik sehan main dewar hi bani **
**ghar ki fiza ka sara naqsha badal gaya **
**shayed wafa kay khel se ukta gaya tha wo **
manzil kay paas aa kay jo rasta badal gaya
qaim kisi bhi haal per dunia nahi rahi
tabeer kho gai ,kabhi sapna badal gaya
**manzar ka rung,asal main saya tha rung ka **
jis ne usay jidhar se bhi dekha badal gaya
**ander kay mosamon ki khabar us ko hogai **
us no bahar e naz ka chehra badal gaya
Aankhon main jitnay ashk thay ,jugno se ban gay
wo muskuraya,aur meri duniya badal gaya
apni gali main apna hi ghar dhondtay hain log
**Amjad ye kon shehar ka naqsha badal gaya **