Daagh
1
**
ret par likh ke meraa naam mitaya na karo
aankhen sach bolati hain pyaar chupaya na karo
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na karo
ye zaroori nahin har shaKhs masihaa hi ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehasaas mein patthraav bahut hain ‘Mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon mein sajaya na karo
**
-Mohsin Naqvi
Mehfil
4
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na karo
bahut khoob!
boht achay daagho uncle :)
Koyal
6
Swera
7
Wah wah!
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na karo
Wah!!
Daagh
8
many thanks Mehfil, HH and Swera 

Daagh
9
imaginations koyal jee just imaginations 
nice to know you liked it…
yeah i like his work a lot…simple and subtle and upto the point 
zidee
10
Re: Aankhen sach bolti hai...
[QUOTE]
Originally posted by Daagh: *
*
ye zaroori nahin har shaKhs masihaa hi ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaya na karo
**
[/QUOTE]
beautiful
i particularly enjoyed this shair
thanks for sharing