~~~ Dil ki batain bata deti hain aankhein ~~~ ~~~ dhadhkano ko jaga deti hain aankhein ~~~ ~~~ dil pe chalta nahi jadoo chehron ka kabhi ~~~ ~~~ dil ko to deewana bana deti hain aaankhein ~~~ ~~~ woh hum se baat nahi karti to na kare ~~~ ~~~ haal sara unke dil ka suna deti hain aankhein ~~~ ~~~ gham sada rehta nahi aadmi ke saath ~~~ ~~~ ashk bana kar chalka deti hain aankhein ~~~ ~~~ aata hai jab dor- e -jawani tu aye dosto ~~~ ~~~ sunder sapne zehan main basa deti hain aankhein ~~~ ~~~ mana ke neend aati hai aankhon hi ke raste ~~~ ~~~ magar kabhi kabaar neend urha deti hain aankhein ~~~ ~~~ shukar hai khuda ne ata ki aankhon ki nemat humein ~~~ ~~~ dard-o-gham sare dil ke chupa deti hain aankhein ~~~
Aankhen dekhi to main dekhta reh gaya
Jaam do aur dono hi do aatisha
Aankhen ya maikade ke do baab hain
Aankhen unko kahoon, ya kahoon khwaab hai
Aankhen neechi hui to hayaa ban gayi
Aankhen oonchi hui to dua ban gayi
Aankhen uth kar jukhi to adaa ban gayi
Aankhen jhuk kar uthi to fazaa ban gayi
Aankhen jin mein hain qaid aasmaan-o-zamin
Nargisi nargisi
Surmayi surmayi
I love these ones on aankhen....yours are wonderful as well :)