Aankhein meri talwon se mil jaye to acha
hai hasrat-e-paaboos nikal jaye to acha
jo chashm ke be naam hon wo ho kor to behtar
jo dil ke ho bedaagh , woh jal jaye to acha
furqat main teri taar-e-nafas seene main mere
kaanta sa khatakta hai, nikal jaye to acha
"Woh subah ko aaye to karoon baaton main dopaher
aur chahoon ke din thora sa dhal jaye to acha
dhal jaye jo din bhi to isi tarah karoon shaam
aur chahoon ke ghar aaj se kal jaye to acha
jab kal ho to phir wohi karoon, kal ki tarah se
gar aaj ka din bhi yun hi tal jaye to acha
alqissa nahin chahta main, jaye wo yahan se
dil us ka yahin garche behal jaye to acha"