Us ki paani si wo neeli aakhain
dil jalati hui bheegi palkain
hont kuch kehnay ko baytab magar
bolnay wali wo pagal aankhain
keh rahi hain jo tere dil ki baat
kaash tu moo say bhi wo keh daiti
rakm hai jo bhi teri aankhon main
kaash tu moo say bhi wo keh daiti
baat jo dil may dabi hai ab tak
itni khamoshi bhi achi nahi hoti jana!
waqt to rait hai
haton say phisal jaaye ga
waqt to waqt hai
kuch dair jo ho jaye gi
phir tu pachtaye gi
or murr jaye gi
or murrnay pe
putthar ki ho jaye gi
tab aankhon say na chalkain gi
wo baatain dil ki
tab honto pe na aain gi
wo baatain dil ki
dair mat ker
k abhi waqt nahi guzra hai
kehday
jo bhi hai tere man may
wo muh say aa ja
aaj ki shaam
tere naam main nay ker di hai.
Re: Aankhain
hmmm…nice poem…:k:
Re: Aankhain
nice 1 :)
Re: Aankhain
Very nice.........