Aankhain khuwab dekhti hain

**Aankhain khuwab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuwab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuwabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka…!**

Re: Aankhain khuwab dekhti hain

aankhon ka kaam hai dekhna.. ab khwab dekhe ya haqeeqat dekh kar ik dafa hi khul jaen

Re: Aankhain khuwab dekhti hain

hmm.........yehi behtar hoga.........

Re: Aankhain khuwab dekhti hain

nice dear, keep it up