AQ
1
Samander maiN utartaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
Teri AankhouN ko paRRhtaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
Tumhaara naam likhnay kee ijaazat chin gaiee jub say
Koie bhee lafz likhta hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
MaiN haNs kay jhel laitaa hooN judaaiee kee sub hee rasmaiN
Galay jub uss kay lagtaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
Woh sub guzray huvay lamhaat mujh ko yaad aatay haiN
Tumhaaray KHAT jo paRhtaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
Na jaanay ho gayaa hooN iss qadar hassaas maiN kabb say
Kissi say baat kartaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
Teray koochay say ab mera ta’alluq waajibi saa hai
Magar jub bhee guzartaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
HazaarouN mosamouN kee hukumraani hai meray dil maiN
Wasi maiN jubb bhee Tanhaa hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
– Syed Wasi Shah
HazaarouN mosamouN kee hukumraani hai meray dil maiN
Wasi maiN jubb bhee Hansta hooN tau aaNkhaiN bheeg jaati haiN
sahi word Hansta hon hai :halo:
btw my all time fav :k:
one of the best ive read:k:
:k: wasi shah ki sab se behtreen gazal …
AQ
11
Passionate: indeed very nice… qafiyey miltay haiN aur rythm bantaa hai.. it’s so nice to read it 
Azad: congratz on ur 3871 hummm 
Sandooo: hoN nahiN hooN:p hay par paish hai 
cuteepie, BrokenSky, ghazalooo, Capricorn, NikamiJano, Aabi: thanks for liking my selection…
hope it was easy to understand too :~)
Wasi’s poetry is my fav :k: bohat hi umda ..Thanks anwaar
she
16
i read the subject of thread and my naughty mind complete it like this
JAB BHI PIYAAZ KATI HON, AANKHAIN BHEEG JAATI HAIN
:D:D
khoobsorat choice
ankhain bheg jati hain----> ankhain na hui pani ka nalka thehra :)
AQ
18
[QUOTE]
*Originally posted by UncleSargam: *
ankhain na hui pani ka nalka thehra :)
[/QUOTE]
lol
Pramod
20
Kya khoob chun kar laae haiN aap ** Anwaar Qureshi sahab **.
Shukriya....