Re: Aankhain Bheeg Jaati Hain (Pairodi)..
ROFLLLLLLLL
Re: Aankhain Bheeg Jaati Hain (Pairodi)..
![]()
Re: Aankhain Bheeg Jaati Hain (Pairodi)..
:D
Re: Aankhain Bheeg Jaati Hain (Pairodi)..
wuts so funny post it in english
Re: Aankhain Bheeg Jaati Hain (Pairodi)..
Roman version pls Ahmer saab.
Re: Aankhain Bheeg Jaati Hain (Pairodi)..
First of all aap sab ka buhat shukria pasandeedgi ke leay :)
abb JJW ne jesa kaha, em giving below the Roman version of this poem,
Teray Nakhray Uthata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Jo Phir Bhi Daant Khata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Tumhara Maal Khanay Ki Sahulat Chhin Gai Jab Se
Kama Ke Abb Jo Laata Hoon To Aankhain Bheg Jaati Hain
Tumharay Ishq Main Sugar Mili Hai Mujh Ko Badlay Main
Karelay Abb Jo Khata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Hai Khaara Iss Qadar Paani Tumharay Ghar Ke Nalkay Ka
Main Peenay Jab Bhi Aata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Ga'ee Hai Jab Se Wo Maikay Ajab He Haal Hai Apna
Main Khana Khud Pakata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Azal Se Mujh Ko Laa'haq Hai Ye Marz-E-La'dawa Yaaro
Ke Aansu Jab Bahata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Teri Ammaan Ke Darr Se Main Tujhe Shopping Karata Hoon
Magar Jab Bill Chukata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Mujhe Maamoon Pukaray Hai, Meri Ma'shooq Ka Beta
Usay Godi Uthata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Ye Dil Ka Dard Hai Shayad Jo Aa Pohncha Hai Guthno'n Main
Qadam Ek Bhi Uthata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Mera Hai Dost Wo Lekin, Nahata Bus Hai Eido'n Per
Jo Milnay Uss Ko Jaata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Tareeqay Nit'naye Mujh Per Wo Zalim Aazmatay Hain
Main Thanay Jab Bhi Jaata Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain
Umeed hai abb samajhnay main aasaani hogi :)
Regards,