Aankh Sy Lahu Na Bahaya Kar...

**
Aankh Sy Lahu Na Bahaya Kar,
Ay Dil Usy Kabhi To Bhool Jaya Kar,

Dekhna Woh Ek Din Tujhe Chhor Jay Ga,
Na Tu Usy Itna Sataya Kar,

Itna Aetbaar Bhi Acha Nahi Hota,
Usy Har Ek Baat Na Bataya Kar,

Shiddaat-E-Gham Sy Seena Phat Jaye Ga,
Aankh Sy Kuch Aansu Bahaya Kar,

Uss Jaisa Tujhy Kahin Mil Nahi Sakta,
Hazaar Baar Roothy Hazaar Baar Manaya Kar,

Yahan Muddaat Baad Koi Sukh Milta Hai,
Haath Aae Khushi Yunhe Na Ganvaya Kar**

Re: Aankh Sy Lahu Na Bahaya Kar…

**Uss Jaisa Tujhy Kahin Mil Nahi Sakta,
Hazaar Baar Roothy Hazaar Baar Manaya Kar,

:nahi: baad main phir yeh keh kar kiyun pachtaya jae:

Kar Kar ke minnaten teri aadaten bigaar din
Hum ne apne hathon tujhe sangdil bana dia
**