aankh say aankh milaa baat banata kiyoon hay
tu ugar mujh se Khafaa hay to chupata kiyoon hay
Ghair lugta hay na upno ki tarah milta hay
tu zamanay ki tara mujhko sataataa kiyoon hay
vuqt ke sath halaat budul jatay hain
ye haqeeqat hay magar mujhko sunataa kiyooN hay
aik muddat se jahan qaflay guzray hi naheen
aisi raahon pe charaghon ko jalata kiyoon hay
By Saeed Rahi