Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha...

**Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha
pher samandar ko bhe hote hoe pagal daikha

raat bhar dair talak kahi teri batain khud se
raat bhar samne chehra tera pal pal daikha

aaj yadoun ki ghata toot k barsi dil par
aaj ham ne bhe barasta hoa baadal daikha

hafza chean liya ham se gham-e-duniya ne
aaj ham bhool gaey usko jise kal daikha

eak shaks tha k bohat hansta tha
aaj uski aankhoun se bhe behta hoa kajal daikha...!**

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha…

:k:

but jub itna he ghum hai tou kajal laganey ke fursat kaise mili ?

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha…

kajal to achay waqt mein lagaya tha…baad mein kuch bura howa hoga…

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha...

u mean bura waqt abhi abhi start hua tha :p
bilkul abhi news mili thee :D

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha...

Shair k pehly misry py ghoor kryn to aisa hi lagta hy.........:)

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha…

mujhey tou ussey kuch nahi pata chala :bummer:
aaj shayad dimagh ki batti gul hai :frowning:

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha…

:eek: kia wahan bhi KESC walay ponhach ga`ay hyn…?

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha…

:no: Allah na karay…

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha...

^ AAmEEn

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha...

**aaj yadoun ki ghata toot k barsi dil par
aaj ham ne bhe barasta hoa baadal daikha

bauhat aala**

Re: Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha…

buhat achay :k: