aankh mila kar nahi gaya

ruKhsat hua to aankh milaa kar nahiiN gayaa
vo kyun gayaa hai ye bhii bataa kar nahiiN gayaa


vo yuun gayaa ke baad-e-sabaa yaad aa gayii
ehsaas tak bhii hamko dilaa kar nahiiN gayaa


yuun lag rahaa hai jaise abhii latT aayegaa
jaate hu’e chiraaGh bujhaa kar nahiiN gayaa


bas ek lakeer kheNch gayaa darmiyaan meN
deevaar raaste meN banaa kar nahiiN gayaa


shaayed vo mil hii jaaye magar justujuu hai shart
vo apne naqsh-e-paa mitaa kar nahiiN gayaa


ghar mein hai aaj tak vohii Khushbuu basii hu’ii
lagtaa hai yuuN ke jaise vo aa kar nahiiN gayaa


tab tak to phuul jaisii hii taazaa thii uskii yaad
jab tak vo pattiiyoN ko judaa kar nahiiN gayaa


rahne diyaa na usne kisii kaam kaa mujhe
aur Khaak meN bhii mujhko milaa kar nahiiN gayaa


vaisii hii betalab hai abhii merii zindagii
vo Khaar-o-Khas meN aag lagaa kar nahiiN gayaa


“Shehzad” ye gilaa hii rahaa uskii yaad se
jaate hu’e vo ko’ii gilaa kar nahiiN gayaa


Shehzad Ahmed

Re: aankh mila kar nahi gaya

thank u thank u everyone for all the comments :D!

Re: aankh mila kar nahi gaya

Very nice!

main sadkey jaon ap ke selection par

Re: aankh mila kar nahi gaya

zabardast. Bohot khoob.
Raat k is waqt i was not sure k mujhe kuch aesa parhne ko milega, lkn hats off to u.

Thanx alot for sharing.

Re: aankh mila kar nahi gaya

haye haye ! ;)


Re: aankh mila kar nahi gaya

mehrbani ji and where have u been Sinlner?? aap ko bahot dino baad dekheya meine

Re: aankh mila kar nahi gaya

amazing :)

Re: aankh mila kar nahi gaya

chori karne wale aankhen kab mila kar jate hein. very nice.

Re: aankh mila kar nahi gaya

bohat zabardast

Re: aankh mila kar nahi gaya

Gud

Re: aankh mila kar nahi gaya

thank you sonia and aqal-lass and taliba and dreamy :)
its a nice poem indeed.

Re: aankh mila kar nahi gaya

Bohat khoob..

Re: aankh mila kar nahi gaya

:confused:
yehi pe hota ho. bas kaam mein masroof tha is lie ziada ana nai huwa.