Aankh mein aanso tu nazar na ate honge palkoon tallay ek barish zaror hoti hogi

Woh.... Woh muhabbat ko parstish ka muqaam deta thaa Aur guzre qisoon ko ibaadat ka darja samajhta thaa Kehta thaa muhabbat mein koi gharz posheeda nahee hoti Muhabbat tu begharz aur lafaani hoti hai Kuch ajeeb falsaffa muhabbat mein us ka thaa ke Woh meri muhabbat ka taalib bhi thaa Aur mein ussay matloob bhi na thee Kehta thaa ke mein us ki rooh mein jazb hoon aise Ke mujh ko paane ki us ko hasrat bhi nahee Ajeeb shaks thaa kuch ajeeb se us ki kahaani thee Yeh daur ab aisi muhabbatoon ka nahee raha Millan ke baghair muhabbatoon ka kya tassavur hai Deed ke baghair chaahatoon ka kya rang hai Yeh daur tu faqat aghraaz per mabni hai Meri muhabbat bhi sirf chaar din ki kahaani thee Koi gaari ek hi station per hamesha nahee rukti Wakt ke saath khayalaat badalte jaate hain Muhabbat baaqi rehti hai mehboob badalte jaatay hain Mein ne chaaha ke khayalaat us ke badal daaloon aur Muhabbat ki haqeeqi tasveer dikha doon us ko Woh muhabbat ka pujaari thaa mein ne Us ko tanhaee ki saza de daali Mujhe yaqeen hai woh sota tu hoga magar Neend us ki aankhoon mein na utarti hogi Mehfil mein woh muskuraata tu hoga magar Us tabassum mein ek teess si uth'tee hogi Aankh mein aansoo tu nazar na aatay honge Palkoon tallay ek baarish zaroor hoti hogi Meri yaad tu us ki khoon ki gardish ki saathi thee Dil dharakta tu hoga magar ek aah bhi nikalti hogi Kyon sochti hoon yeh sab kuch main Jo taaluq thaa woh tu mein ne torr diya Woh zinda rahe na rahe mujh is se kya Us ki saans rukey ya chale mujhe kya laina Mere leye tu faqat yehi kaafi hai ke Mein aik duniya dar larki aur Woh kisi aur duniya ka baasi thaa...

Bohat khoob, as always...:)

bahut UMda :)

bahut UMda :) jaisye KOyal ki Boli :D

bohat achhay Amarbail

very nice.:k:

wo kissi aur duniya ka bassi tha… :k::teary1:

bahut achee :~)

Swera, SuraJ, amirbilal, Muslim_Qureen, HeArT HaCKeR and Anchaal thank you very much for your appreciation ...