Kabhi koi kisi ka nahi hota
aankh ka aansoo bhi apna nahi hota
duniya se kya hota hai kis ke liye
apna aks bhi kabhi apna nahi hota
Doobta jata hai apni hi gehrai main
Saagar ka sahil sagar key liye nahi hota
aye zindagi!Main bahut akeli chali hoon
Lekin mera faasla kabhi kam nahi hota
Woh de raha hai bharoosa kal ka
dard ki dawa kabhi dard nahi hota
Kaisey dost,kaisey humdum,pyaare
Maut sey milane sath koi nahi hota
Jab hai tujhe khoon ki zaroorat aye dost
Merey badan main tabhi lahu nahi hota
Bahut bayaan kartey raho tum
Dard bharkey kabhi shair nahi hota
Kabhi koi kisi ka nahi hota
aankh ka aansoo bhi apna nahi hota !