Aankh jalti hay meri neend mein bhi

**Aankh jalti hay meri neend mein bhi

raat ki zulfoun main jaaney kia hay

aankh k shaanoun par lehraatey hee

hur taraf dhoop jaga deti hain

aankh ko neend say dur lagta hay

neend ko khuwaab say dur lagta hay

khuwaab ko apney bikhar jaaney say dur lagta hay

roaz aa aa k koi yaad, koi gham

koi weeraani see

daal jaati hay meri royi hui aankh main rait

neend is zoar say chubhti hay mujhay

aankh main chaaley parhey houn jaisey**

Re: Aankh jalti hay meri neend mein bhi

issi liye kehte hain ke jab neend aa jae to so jaya karo.. neend se laRo ge to neend aap ko hara de gi

Re: Aankh jalti hay meri neend mein bhi

Hmm........... ye to hy.........