Mano85
1
Aankh ban jati hai saawan ki ghata shaam k baad
Aankh ban jati hai saawan ki ghata shaam k baad
laut jata hai agar koi khafa shaam k baad
woh jo tal jaati rahi sar se bala shaam k baad
koi to tha k jo deta tha dua shaam k baad
aahein bharti hai shab-e-hijr yateemo’n ki tareh
sard ho jati hai har roz hawa shaam k baad
shaam tak qaid raha kartay hain dil k andar
dard ho jatay hain saray hi riha shaam k baad
log thak haar kar so jatay hain lekin jaana’n
ham nay khush ho kay tera dard saha shaam k baad
shaam se pehlay talak laakh sulayein rakhein
jaag uth_ti hai muhabbat ki ana shaam k baad
khuwaab takra kay palat jaatay hain band aankhon se
jaanay kis jurm ki kisko hai saza shaam k baad
chaand jab ro kay sitaaro’n se galay milta hai
ik ajab rang ki hoti hai fiza shaam k baad
ham ne tanhai se poocha k milogi kab tak
usne bechaini se forun ki kaha, shaam k baad
main agar khush rahoon phir bhi meray seenay main
sogwaari koi roti hai sada shaam k baad
tum gaye ho to siyah rang k kapray pehnay
phirti rehti hai meray ghar main qaza shaam k baad
laut ati hai meri shab ki ibaadat khali
janay kis arsh par rehta hai khuda shaam k baad
din ajab muthi main jakray huway rakhta hai mujhay
mujhko is baat ka ehsaas huwa shaam k baad
koi bhoola huwa gham hai jo musalsal mujhko
dil k paataal se deta hai sada shaam k baad
maar deta hai ujarjaanay ka dohra ehsaas
kaash ho koi kisi se na juda shaam k baad
Farhat Abbas Shah
Xcellent !
Thanks for sharing the complete ghazal !
Mano85
8
Thanx Aarif Jee, Gul-e-Tasbeeh, Heart Hacker, Chand_Chehra, guybrush n ghazal kisi ki :)
Re: Aankh ban jati hai saawan ki ghata shaam k baad
Impressing :k:
Re: Aankh ban jati hai saawan ki ghata shaam k baad
wah ji wah:k: