Aalhan
1
Aandhee chalee to dhoop ki sansaiN ulat gayeeN
UryaaN shajar kay jism say shakhain lipat gayeeN
Daikha jo chandni meiN giraybaan~e~shab ka rang
KirnaiN phir aasmaaN ki janib palat gayeeN
MaiN yaad kar raha tha muqaddar kay haadsay!
Mairi hathailiyooN pay lakeeraiN simat gayeeN
Miti kay mujizay rahay marhoonay kaarvaaN
Pani ki khuahishain theeN keh lehrooN meiN bat gayeeN
AsaniyooN ki baat na kar ay hareef~e~zeest
In mushkilooN ko daikh jo rastay say hut gayeeN
Amal
2
Re: Aandhee chalee to dhoop ki sansaiN ulat gayeeN
bohat khoob Aalhan
k:…thanx for sharing.
very Nice ,Aalhan Thanks for sharing:)
MaiN yaad kar raha tha muqaddar kay haadsay!
Mairi hathailiyooN pay lakeeraiN simat gayeeN
great choice Aalhan ji !!
very nice Aalhan
un ki yaad, un ki tamanna, un ka gham
kat rehi hai zindagee araam se
Pramod
8
AsaniyooN ki baat na kar ay hareef~e~zeest
In mushkilooN ko daikh jo rastay say hut gayeeN
wow kya sher hai.
thanks for sharing it, Aalhan.
Re: Aandhee chalee to dhoop ki sansaiN ulat gayeeN
Beautiful gazal Alhan thanks 4 sharin..aur bata sakin gain kis ki hia.i mean shaier kon hia
Aalhan
11
Amal, Sunnyboy, Gul-e-Tasbeeh,
kashish, HeArT HaCKeR, Guest777,
Pramod, NikamiJano, nikii, thanks guys
for taking the time to read it :~)
For those who inquired, it's by Mohsin
Naqvi. It wouldn't be wrong to say
that Mohsin Naqvi has an endless
collection of such gems.
Re: Aandhee chalee to dhoop ki sansaiN ulat gayeeN
[QUOTE]
*Originally posted by Aalhan: *
Aandhee chalee to dhoop ki sansaiN ulat gayeeN
UryaaN shajar kay jism say shakhain lipat gayeeN
MaiN yaad kar raha tha muqaddar kay haadsay!
Mairi hathailiyooN pay lakeeraiN simat gayeeN
Miti kay mujizay rahay marhoonay kaarvaaN
Pani ki khuahishain theeN keh lehrooN meiN bat gayeeN
AsaniyooN ki baat na kar ay hareef~e~zeest
In mushkilooN ko daikh jo rastay say hut gayeeN
[/QUOTE]
beautiful choice Aalhan...