musalsal roakti hon us ko shehr-e-dil main anai se
magar wu kohkun rukta nahi dewaar dhanai se
bhala kya dukh kai angan main sulagti larkiyan janain
kahin chuptai hain ansoo anchalon main monh chupanai se
abhi to fasl taza hai hamarai harf-o-mani ki
abhi dartai nahi hum mausamon kai anai janai se
abhi to ishq main ankhain bujhee hain dil salamat hai
zameenain banjh hoti hain kabhi faslain jalanai se
tujhai tanha muhabat kai ye darya paar kerna hai
nidamat hogi us kai hoslon ko aazmanai se
humain kis zarf kai kerdaar kai qissai sunata hai
tujhai aay shehr hum bhi jantai hain ik zamanai se
tujhai bhi zabt-e-gham kai shauq nai pathr bana dala
tujhai aay dil buhat roka tha rasm-o-rah nibhanai se