A message from Akbar Allahbadi’s letter to his friend;
Namaah koi naa yaar kaa paighaam bhejiye
iss fasal mein jou bhejiye bas aam bhejiye
aisey zaroor houn key unhein rakh kay khaa sakun
pukhta agar houn bees, tou das khaam bhejiye
maaloom hi hai aapko bandey kaa address
seedhey allahabad merey naam bhejiye
aisa naa ho key aap kahein jawaab mein
taameel hogi, pahley magar daam bhejiye…