Ye jatay baras k akhri lamhay
Guzarti sa’atooN k dhundlakay
Aur
PalkooN pe yaadoN k sitaray
Pal bhur ko yooN laga jaisay
Inhi yaadoN inhi kahaniyooN k beech
Waqt thum sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraagh jala tha roshnie k liye
Mudhum ho gaya ho jaisay
Aur jo durya mohabbatoN ka tha
Ab uter gaya ho jaisay
Akhri shaam ka doubta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chahatoN ka suraj bhee
Doub raha ho jaisay
Magr ab dil maiN yaadoN k siwa
Aur ankhoon mein aanso’oN k siwa
Aur bacha hee kia hai
Jo ab aakhri sa’atooN k naam karooN
Wo sub chahateiN aur sub mohabbateiN
Aur unn mohabbatoN ki sari shiddateiN
Sub kuch tou ussi k naam ker diya tha
HaaN! magr itna yaad hai
Uss Waqt bhee suraj yooN hi doub raha tha
Aur… wo bhee
December ki aakhri surd shaam thee
Jub us ne dheerey se kaha tha
“Naya Saal Mubarak…!”