**Apni tanhaion se poocha hai **
Shab e hijraan se baat kar li hai
Mere andar ki sehmi khaamoshi
Mere bahar ka hansta chehra bhi
Raat k sansanatay lamhay bhi
Din ka dasta hua ujaala bhi
Zabt ka toota ye bandhan bhi
Sabar ka choota ye daman bhi
Uski yaadain bhi kuch isharoon main
Mujh ko majboor kar rahay hain sabh
**Aao uss k pass chaltay hain **
Uss se kehtay hain kuch dawa kare
Apni fitrat ko chor kar ik pal
Koi waada to tum wafa kar do
Inki baatoon se kuch nahi hoga
Aakhri faisla to dil ka hai
Dil ye kehta hai uss se milnay se
**Ab tanhai he achi hai **
Ab akeylay main lag gya hai dil
Uss se milnay nahi jaana
Uski baatain udaas kar dain gi!!!
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
Wah, wah.....beautiful. Thanks for sharing Yasha. By the way whats your old ID?
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
nice sharing....!
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
Zabardast :k:
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
welldone yasha .....
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
Very nice.....thanx for sharing!
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
very NICE
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
wahh... bohat zabardast..
Re: Aakhri faisla to dil ka hai
WAH WAHW WAH YASHA BOHAT KHOOOB