**Tulu-e-shams-e-mufaaraqat hai
puranii kirnein naey makaanon ke aanganon mein laraz rahi hain
faseel-e-shehr-e-vafa ke rozan chamakte zarron se bhar gai hain
gaye dinon ki aziz baatein, nigar subahein, gulab raatein
bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiite.n hazaar maaten
judaaiyon kii havaayen lamhon ki khushk matti urraa rahi hain
*gayi ruton kaa malaal kab tukk*
chalo ke shaakhein to toot-ti hain
chalo ke qabron pe Khoonn rone se
apni aankhein hi phoot-ti hein
*ye moRR vo hai jahaan se mere tumhaare rastey badal gaye hain
puraani raahon ko lautnaa bhii hamaarii taqdiir men nahin
ke raaste bhi hamaare qadmon ke saath aagey nikal gaye hain
tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
tum apnii aankhon mein jhilmilaatey huey sitaaron ko maut dey do
gayii ruton ke tamaam phuulon tamaam Khaaron ko maut de do
naye safar ko hayaat bakhsho
ke pichli raahon pe sabt jitney naqoosh-e-pa hein
vo baar honge
havaa uRRaaye ke tum uRRaao***