Aakhri bar milo aisay keh jaltay hoay dil
Rakh ho jain, koi or taqaza na karain
Chak wada na silay zakhm tamanna na khulay
Sans hamwar rahay shama’a ki lo tk na hilay
Batain bas itni k lamhay aa ker inhain gin jai’n
Aankh uthay koi umeed to aankhain chin jai’n
Is mulaqat ka is bar koi wehm nahi’n
Jis say ek or mulaqat ki soorat niklay
Ab na haijaan - o - junoo’n ka na hikayat ka waqt
Ab na tajdeed - e - wafa ka na shikayat ka waqt
Lut gai shehr - e - hawadis main mata 'a ilfaz
Ab jo kehna hai to kaisay koi noha kahay
Aj tk tum say rag - o - jaan kay kayee rishtay thay
Kal say jo ho ga usay kon sa rishta kahiyay
Phir na dehkain gay kabhi aariz - o - rukhsar milo
Matami hain dam - e - rukhsat dar - o - deewar milo
Phir na hum hoon gay, na iqrar na inkar milo
** Aakhri baar milo**