aakhri baar milo aesay k jaltay huay dil
raakh ho jaein, koi aur taqaaza na karein
chaak-e-waada na silay, zakhm-e-tamanna na khilay
saans hamwaar rahay, shamma ki low tak na hilay
baatein bas itni k lamhay unhen aa kar gin jaein
aankh uthaaey koi umeed to aankhein chhin jaein
us mulaqat ka is baar koi wehm nahi
jis se ek aur mulaqat ki soorat niklay
ab na heejaan-o-junun ka na hikayaat ka waqt
ab na tajdeed-e-wafa ka na shikayaat ka waqt
lut gaee shehr-e-hawadis mein mataa-e-alfaaz
ab jo kehna hai to kaisay koi noha kahiye
aaj tak tum se rag-e-jaan k kaee rishtay thay
kal jo hoga usay kon sa rishta kahiye
phir na mehkein gay kabi aariz-o-rukhsaar, milo
maatmi hein dam-e-rukhsat dar-o-deewaar, milo
phir na hum hongay, na iqraar, na inqaar, milo
aakhri baar milo …