*Aakhri baar milo aisay ke jaltay huwe dil
Raakh ho jaayain ... Koi aur taqqaaza na karain
Chaak-e-waada na silay, zakhm-e-tamanna na khilay
Saans hamwaar rahay, shamaa ki lau tak na hilay
Baatain bas itni ke Lamhay inhain aa kar gin jayain
Aankh uthaye koi umeed tu aankhain chin jaayain
Is mulakaat ka is baar koi weham nahee
Jis se ek aur mulakat ki surat niklay
Ab na haijaan-o-junoon ka, na hikayaat ka wakt
Ab na tajdeed-e-wafa ka, na shikayaat ka wakt
Lutt gaee shehr-e-hawadas mein mataay-e-alfaaz
Ab jo kehna hai tu kaise koi nauha kahay
Aaj tak tum se rag-e-jaan ke kaee rishtay thay
Kal se jo hoga issay kaun sa rishta kahain
Phir na dekhenge kabhi aariz-o-rukhsaar milo
Maatami hain dam-e-rukhsat dar-o-dewaar milo
Phir na hum hoonge, na iqraar, na inkaar milo
Aakhri baar milo ~ Aakhri baar milo ~ Aakhri baar milo ...*
Boht khoob.. :k:
wah… nice… :k:
very nice :k: