Aik Nazm,
Aakhri Bar Mili Aisay Ke Jaltay Huay Dil
Raakh Ho Jayen Koi Aur Taqaza Na Karain
Chaak Wada Na Silay, Zakhm-e-Tamanna Na Khilay
Saans Hamwaar Rahay Shama Ki Lau Tak Na Hilay
Baatain Itni Ke Lamhay Inhain Aker Gin Jayen
Aankh Uthaye Koi Umeed To Aankhain Chhin Jayen
Iss Mulaqat Ka Iss Baar Koi Wehem Nahin
Jis Se Ik Aur Mulaqat Ki Surat Niklay
Abb Na Hejan-o-Junoon, Na Hikayaat Ka Waqt
Abb Na Tajdeed-e-Wafa Ka, Na Shikayaat Ka Waqt
Lut Gai Shehr-e-Hawadis Main Mata-e-Alfaaz
Abb Jo Kehna Hai To Kese Koi Noh Kahay
Aaj Tak Tum Se Rug-e-Jaan Ke Kai Rishtay Se
Kal Se Jo Hoga Usay Kaun Sa Rishta Kaheay
Phir Na Dehkain Ge Kabhi Aariz-o-Rukhsaar, Milo
Matami Hain Dum-e-Rukhsat Der-o-Dewaar, Milo
Phir Na Hum Hongay, Na Iqraar, Na Inkaar, Milo
Aakhri Baar Milo..!
(Mustafa Zaidi)
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,