AakhiR

tuj par b fasoon dehr ka chal jaaey ga aakhir
dunya ki tarha tu b badal jaaey ga aakhir

aey mere badan rooh ki dolat pay na itra
ye teer b tarkash se nikal jaaey ga aakhir

wo subh ka taara hai to phir maand b hoga
charhta hua sooraj hai to dhal jaaey ga aakhir

aawaara-o-badnaam hai MOHSIN to hamein kya
khud thokarein kha kha k sanbhal jaaey ga aakhir

Re: AakhiR

mein jaanta hon k dunya tujhay badal day gi
mein maanta hon k aesa nahi bazaahir tu

Re: AakhiR

kia kahnay hain g, very nice

Re: AakhiR

Wah Wah!!
Mohsin Sahab ki kia he baat he....

Re: AakhiR

wo subh ka taara hai to phir maand b hoga
charhta hua sooraj hai to dhal jaaey ga aakhir

aawaara-o-badnaam hai MOHSIN to hamein kya
khud thokarein kha kha k sanbhal jaaey ga aakhir

Bohat Khoob Asad

Re: AakhiR

:k: