aaj

jo muj sa poacha hai aj tum nay
main tumhara hon kya bataon
toh khud hi socho tum ek pal ko
hai tum sa mera wohi taluq
jo apnay saay sa hai jazar ka
wohi jo khurshid sa qamar ka
gulon sa hota hai mehak ka
wohi taluq hai tum sa mera
jo dil sa hota hai dharkano ka
khumar sa hai mah kashon ka
jo raston sa hai manzil ka
jo manzilon sa hai rehbaron ka
izal sa dahrti sa parbaton ka
wohi jo sagar sa hai sahilon ka
jo roh sa hai kisi badan ka
jo barishon sa hai kisi zameen ka
ibadaton ka hai jabeen sa wohi taluq
azal sa apnay bhi darmiya hai
tumhi bahro ki dilkashi ho
tum hi to ankhon ki roshni ho
jo such kahon tum meri khushi ho
tum hi ajala tum hi saba ho
tum arzo ho tum wafa ho
tum jazbo ki inthia ho
to kyu na tum per dil fida ho
batao hai itna kafi
k or kuch bhi tumhain bataon
jo ho saky too khyal rakhna
tumhara muj sa hai wohi rishta
malika sa jo bandagi ka
jo marnay waly sa zindagi ka
samndron ka jo seep sa hai
wohi jo ankhon ka deep sa hai.

Re: aaj

ye su sir kehne wali batain hoti hain :snooty:

Re: aaj

wah :k:

**batao hai itna kafi
k or kuch bhi tumhain bataon

:nahi: kafi hai
**