aaj yehi khayal hai mera teray baray main
jo kal tak tha khayal tera meray baray main
har taraf phool hain khushboo hai sitaray hain
chand ko dekh kar khayal aaya hai teray baray main
kis qadar toot kar chaha tha ussay mainnay
wo bhi yehi kheta hoga ab meray baray main
jab kabhi tanha udas hota hoon main
khamoshi sawal karti hai mujhsay teray baray main
main lot aaoonga phir se ussay manany kay liyay
kiyoon hai ye dhoka usse meray baray main
wo bhi kiya mujhay itna hi chahta ho ga
kiyoon khudsay ye sawal karoon main teray baray main
kiyoon tanhaiyoon ki qaid se puchtay rahay ho tum
tumnay socha tu hota phelay iss baray main
khud ko tujh say juda kar kay yeh soch liya hai
yadoon ki aik kitab likhoon main tery bary main
![]()