saahil rait samandar lehren
basti jangle sehra darya
khushbu mosam phool dareechay
baadal sooraj chaand sitaaray
aaj ye sab kuch naam tumharay
khwab ki baaten yaad k kissay
soch k pehlu neend k lamhay
dard k aansu chain k naghmay
urtay waqt k behtay dhaaray
aaj ye sab kuch naam tumharay
rooh ki aahat, jism ki jumbish
khoon ki gardish saans ki larzish
aankh k aansu hont ki rangat
chaahat k unwaan ye saaray
aaj ye sab kuch naam tumharay
aaj ye sab kuch naam tumharay …
[QUOTE]
rooh ki aahat, jism ki jumbish
khoon ki gardish saans ki larzish
aankh k aansu hont ki rangat
chaahat k unwaan ye saaray
aaj ye sab kuch naam tumharay
aaj ye sab kuch naam tumharay ...<!-- google_ad_section_end --><!-- / message -->