aaj un paloan ko bhi meine mitta diya .!!!!

soacha tha pyar se apne .
pathar ko insaan banaungi
apni dil ki dhadkan de kar
us ko jeena sikhlaungi

soacha tha pyar se apne
sapno ka mehal banungi
us ki aankhoan mein reh kar
sapne us ko dikhlaungi

soacha tha baatoan se apni
us ka dil behlaungi
rooth jo jayega kabhi
to hass kar us ko manungi

soacha tha .. ankhoan ko apni
us ki raahoan mein bichauungi
woh jo jayega door kabhi mujh se
to yaadoan mein sang us ke jaungi

suna tha .. pyar se .. pathar insaan ho jaate hai
per us ki berukhi ne pathar mujhe hi bana diya
jeeti thi jo pal do pal ko kabhi
aaj un paloan ko bhi meine mitta diya .!!!

Re: aaj un paloan ko bhi meine mitta diya .!!!!


app bht hi achi poetry post krty hoamazing....