Aaj tumhen barson bad dekha tu yai khayal aaya
Jesay chin gaya ho mujhe say mera hi saya
Jisay chupa kay rakha tha hum nay zamanay say
Meri barbadi ka wohi geet aaj tu nay gaya
Socha tha ka tujhe say mil kar udasiyan kam ho jaen gi
Magar teri mohabbat nay humain bara rulaya
Maloom hai kay tum wada kar kay bhi na aao gay
Phir bhi tere intazaar ko palkon pay sajaya
Aaj phir dil nay tum say milnay ki tamanna ki
Aaj phir hum nay dil ko bari mushkil say samjhaya