Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

**Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay
Khud Ko Itni Dhoom Se Sooli Charhana Yaad Hay

Teen Moqay Bhi Diye Qazi Ne Ghor-O Fikr Ke
Aaj Tak Who Qeemati Moqay Ganwana Yaad Hay

Aik Nah Kafi Thi Her Muskil Se Bachne Ke Liye
Hum Ko Han Ka Faislaa Who Ehmaqana Yaad Hay

Ghar Jise Laye The Hum Roti Pakane Ke Liye
Ab Pakati Hay Hamen Us Ka Pakana Yaad Hay

Nah Silaee Janti Hay Nah Cooking Maloom Hay
Han Oose Shohar Ko Ungli Per Nachaana Yaad Hay

Uski Her Ik Baat Per Kehna Hi Parta Hay ‘Bajaa’
Is Tarah Ooska Hamen Barson Bajana Yaad Hay

Mantay Hen Hum Husaini Hadesaa Hoga Shdeed
Kiyon Keh Tum Ko Waqeaa Itna Puranaa Yaad Hay.**

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

:rotfl: at the outcome & :smilestar: sirf roti pakaney ke liey he chahiye tou biwi kyon..chef ley aain :hoonh:

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

Roti bhi khud hi paka`lyn gay...

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

nahi chef hire ker lain:D

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

Aik Kharchy sy Jaan churana chah raha hon,
Aap dosra sir lyna ka mashwara dy rahi hyn.......

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

Chef delicious khana bana ke deyna woh bhi when you ask & wht you ask :D

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

Hmm.......
Yahan tak to theak hay Aapki baat...

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

akhir baat kisney kee hai :hat:

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

Nah Silaee Janti Hay Nah Cooking Maloom Hay
Han Oose Shohar Ko Ungli Per Nachaana Yaad Hay

:cobra:

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

**Ghar Jise Laye The Hum Roti Pakane Ke Liye
Ab Pakati Hay Hamen Us Ka Pakana Yaad Hay

Jaisi karni waisi bharni :cobra:
**

Re: Aaj Tak Woh Band Baje Shaamiyana Yaad Hay

Silaye ke liye tailor hai aur cooking ke liye chef:snooty:
kyon kisi beycharey tailor ya chef ke rozi roti pe laat maarna :emmy: