Aaj rooThe hue saajan ko bohat yaad kia
Apne ujRe hue gulshan ko bohat yaad kia
Jab kabhi gardish-e-taqdeer ne gheira hai hamein
Geisu-e-yaar ki uljhan ko bohat yaad kia
Jis k maathe pe naee subh ka jhoomar hoga
Ham ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kia
Aaj TooTe hue sapnoN ki bohat yaad aaee
Aaj beete hue saawan ko bohat yaad kia
Ham sar-e-toor bhi mayoos-e-tajalli hi rahe
Us dar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kia
Mutma’in ho hi gaye daam o qafas mein Saghar
Ham aseeroN ne nasheiman ko bohat yaad kia