Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

**Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia
Apne ujRe hue gulshan ko bohat yaad kia

Jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghaira hai hamein
Gaisu-e-yaar ki uljhan ko bohat yaad kia

Jis k maathe pe naee subh ka jhoomar hoga
Ham ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kia

Aaj TooTe hue sapnoN ki bohat yaad aaee
Aaj beete hue saawan ko bohat yaad kia

Ham sar-e-tor bhi mayoos-e-tajali hi rahe
Us dar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kia

Mutmain ho hi gaye daam o qafas mein Saghar
Ham aseeroN ne nasheman ko bohat yaad kia…!**

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

**Mutmain ho hi gaye daam o qafas mein Saghar
Ham aseeroN ne nasheman ko bohat yaad kia…!

:k:

Hum to hain pardes main
des main nikla hoga chand
**

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

Hmm…acha ji
Aapka chand des mein hy…?

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

Nahin door pardes main

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

Ussy des mein kab ly k aa`ayn gy.......?

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

jab qismat main hoga :hinna:

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

bohat ala :k:

Re: Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia

ALLAH Karam kry ga