**aaj qismat ny hmain yeh din dikhaiy hain
mohabbat jin say ki thi aj wo lagtay paraiy hain
najanay kis jaga say safar ka aghaz kia tha
najanay kis maqam pay muqaddar lay ky aaiy hain
baharo laut jao meray is veeran aangan say
yahan py kuch nahin hy mehaz kuch gham ky saiy hain
dil main kitnay gham hain yeh kis ko batain ham
ham nay khud hi dil pay itnay sitm dhaiy hain
afsos bahar ny un ky chaman ko rondh dala hy
kaha kartay thay jo ham nay khazan pay pehray lagaiy hain**